SHHOR

Ye shhor kya h,
Ander ho toh mann ghabarrata hu,
Ye shhor kya h,
Bahar ho toh dil seham sa jaata h,

Ye shhor kya h,
Ye kaha se aata h,
Ye kaha ko jaata h,
Ye shhor kya h,

Jab dil ho,
Ye shhor sangeet bnn jaata h,
Jab dil na ho,
Sangeet bhi shhor ban jaata h,

Ye shhor kya h,
Iski pehchaan h kya,

Maanlo toh dharkan bhi ek shorr h,
Lekin zaroori h wo zindagi ke liye,
Maanlo toh ghadi ki tick tick bhi ek shorr h,
Lekin zaroori h wo waqt badalne ke ke liye,

Par ye shhor kya h,
Iski pehchaan h kya,

Khamoshi ka todd h Shhor,
Jazbaato ki itehaan h Shhor,
Har chuppi ki zubaan h Shhor,
Har na insaafi ka ye ek pegaam h Shhor...... 😇

Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

Meri pehchan hai kya

The Long Walk

If they fell in love with a person with disability