Kuch Pakhtiya zindagi ki

Dosti,
Ke alag pehlu,
Alag mayine ban jaate hai,
Jab do log,
Aur kareeb aa jaate hai,
Wohi do log,
Jisko baat samjhani padhti thi,
Wo aaj do aankho me kya kuch keh jate h,
Dosti,
Aur gehri ho jati hai,
Ab  unki tasveere,
Har jagah dikhne lagi,
Unki hi charcha aam hone lagi,
Abhi shayad kuch hua bhi nhi tha,
Koi phool dil me khila bhi nhi tha,
Pyaar,
Lo logo ne ye shabd keh bhi diya,
Lo logo ne dono ka naam mila bhi diya,
Par abhi toh kuch bhi nhi hua tha,
Koi phool dil me khila bhi nhi tha,
Door,
Dooriyan,
Doori bdh rhi thi dono me,
Shayad kuch kehna chahate the,
Jo lafz beyan na ho sake,
Wo suhana chahte the,
Par woh keh na sake,
Aur kuch palo ki yaad si banke reh gaye...

Comments

Popular posts from this blog

Meri pehchan hai kya

The Long Walk

If they fell in love with a person with disability