Raawan dhyaan- Dussehra special

Ye intezaar kya h?
Kiska h?
Aur kyu?
Yahi sochti rehti hu?
Wo kya h,
Jo hona h,
Aur kya h,
Jo khona h,
Intezaar h,
Din ke baad,
Raat ka,
Raat ke baad,
Subha ka,
Bas intezaar h,
Intezaar kuch hone ka,
Delhi ka safe hone ka,
Har subha ek rape ki khabar,
Na pdhne ka,
Bas intezaar h,
Aise Dussehra ka,
Jisme saari burai jal jaye,
Ek aisi durga puja ka,
Jisme sab durga ban jaye,
Par humne kya andar ke rawaan ko dekha?
Shayad nhii ,
Mujhe intezaar hai,
Uss din ka,
Jab sab ander ka rawaan jala de,
Wo raawan,
Jo lalach krta h,
Wo raawan,
Jo har chaurahe pr bolta h,
Tere ko pata h,
Mera baap kon h?
Wo raawan jo kanoon todkar bolta h,
Arre, kuch nahi hota.. jo hoga, dekh lenge,
Wo raawan jo hum sab ke andar hai,
Aao usko hum jalaye,
Aao sab dussehra manaye.....

Comments

Popular posts from this blog

Meri pehchan hai kya

The Long Walk

Love, Life and Everything else #1