Tu Chal
Tu Chal,
Rukna nhi,
Thakna nhi,
Tu Chal,
Jyoti nhi,
Tu aag hai,
Raftaar teri,
Har saans hai,
Tu chal,
Beti,
Tu chal,
Log toh bolenge hi
Tu chalegi,
Toh log tokege hi,
Jo bhi tu pehnegi,
Uske liye log toh bolenge hi,
Tu chal,
Nidar hoke chal,
Tera shareer hai,
Jisko jism kehke,
Gandgi faila di hai,
Jese Sita ko bhi toh,
Agni pariksha deni padi thi,
Sab aj Sita ko mata kehte hai,
Par Draupadi ko nhi,
Kyuki Sita pavitr thi,
Aur Draupadi nhi,
Beti tu chal,
In saare purane riwazo ko todd,
Tu chal,
Aj apne haq ke liye,
Tu chal,
Aj un nazro ko mat dekh,
Jo ghoorte hai tujhe,
Un logon ki baat na sun,
Jo rokte h tujhe,
Samundar kabhi rukta nhi,
Baand se wo thamta nhi,
Tu wo bhav ban,
Tu chal
Beti, tu chal..
Aj ye wada kr khud se,
Sita nhi Durga h tu,
Tu chal,
Beti, tu chal.....
👌👌
ReplyDeleteVery Inspiring